MOTIYABIND - lakshan,upchar, savdhania, ilaz
MOTIYABIND AUR USKA ILAZ
Motiyabind ko angrezi mein cataract kahte h. 50 varsh ki umar ke bad aankho se kam dikhne ka yah ek mukhya karan h. yah ek aankh ya dono aankho mein ek sath ho sakta h.
Motiyabind aapki aankh ke ander ke lens ke dhundle hone ko kahate hai .Motiyabind tikhe chitron ke dhundle hone, chatkile rango ko phika karne ya rat mein dikhna kum hone ka ek karan ho sakta h.Motiyabind hone ke bad aapko nazar ke chasme se dekhne mein bhi dikkat hoti h.

Pahle mana jata tha ki motiyabind ko pakane ke bad nikalna chahiye per ab aesa nhi h. Ab iska operation dikkat hote hi karwa lena chahiye.Motiyabind ka operation ab ek niyamat prakriya ban gayi h. Isliye iska ilaz jaldi hi karwana chahiye.
Kya hota h yadi motiyabind ka ilaz nhi karwaya jaye?
Samay ke sath aapkinazar aur kam hoti jati h aur lens ka dhundhlapan bhi badh jata h aur dhire dhire aap andhe ho jate hein.
Mujhe konsa lens pratyaropen hoga iska kaise pata chale?Konsa lens lagega yeh aapka doctor hi nishchit karta h.Sabhi marizo mein ek saman nhihota h.
Kya motiyabind wapis bhi ho sakta h? Motiyabind ek bar nikalane ke bad dubara nhi hota h.Samay bitne par kuch rogi nazar dhundhli hone ki shikayat kar sakte hein jiska ilaz ek saral lesar prakriya se aasani aur jaldi kar sakte hein.
Motiyabind ka operation kitna safal h? Motiyabind ke operation ki safalta dar adhik h.Nayi takniko aur upkarno se safalta badhi h.
Operation se pehle sugar, blood pressure aadi bimari ki janch ki jati h.Is operation mein mariz ki aankh mein hi sun ki jati h.Operation ke liye patient ko usi din discharge kar dete h.Aur ankh mein bund ki dawai dali jati h. Thodi savdhania rakhne se patient ko jaldi sudhar ho jata h.
Motiyabind ko rokane ke gharelu upay nimn h-
-Poshtic aahar-Aankho ko lambe samay tak swasth rakhne ke liye hari patedar sabziyan, gazar, tamatar aur phal jaise sev, santra aur anar ko aahar mein shamil krna chahiye.
-Ankhon ki janch-Taklif hone par aankho ki niyamit janch karayein.
-Rog-Anya rog jaise high blood pressure ya sugar ki bimari hone par doctor ki dekh rekh mein ilaz le.
Motyabind se aankho ko bachaye aur aankho ki dekh bhal kare.

Comments
Post a Comment
If you like my post then tell me in the comment box, please.